janaza uth gaya hai
sugawar kandha badal rahe hain
main maze me hon
makan koun ,nahi chahta
bus pahonch jaon
sabhi ko, jaldi hai,
pahochane me
rote rote behal ,thakan aur
bhook ki shiddat
aakhri muththi khak
mere nai ghar ka tala
sub jao aur rou aur khao
yaad karo
aur ek dosre se kaho
usko makan mil hi gaya
main khush hon,slaam logon…..
aakhri makan
مارچ 2, 2009 بذریعہ wasimquadri
zaro qattar rona
behal hona
bus akhri muthi ka sawal hai
kadam badte hain ghar ki or
ab man halka hai
ab man niras hai
bhook bhi neend bhi aa rahi hai
sokoon milta hai
ek aisa ehsas tha
jaise garmi ki shiddat se pasine chale
phir thandi hawa ka chalna
bus farq kuch khone ka tha