Feeds:
پوسٹس
تبصرے

Archive for جنوری, 2009

Kyon Hota hai

Aisa kyon hota hai
Kho jaati hai
Apni zindagi….

Sab kashish sifar ho jaati hai
aur…..
ek badsoorat tasveer ban jaati hai zindagi……

TV key tamaam channel
Ek tarah se…
Bolney lagtey hain…….

Har chehra ban jaata hai
Udaasi ki ek tasveer……………..
Raastey dehshatzada…
ho jaate hain.

Rishtoon mein
maaney nahi milta…..
shuk lagta hai
Andheroon aur roshni ke darmiyaan…

Zubaan pe luqnat aa jaate hai.
Koi kya karey…
Koi kya kahey…

Aur kyon?

Sabhi to
shaayad aisey hi jee rahey hain…
Kisi ko maloom hai kisi ko nahi maloom………

Read Full Post »

ankahi

baithbaithe chup hojata hon,

aisa chup

ke apni sansen bhi rasta bhol si jati hain.

aur dum ghutta hain.

phir ek tasveer ubher aati hai,

kuch nahi kahti

sirf ishara karti hai

meri ankhen khuli rahti hain

aur uk dum sansen okhar jati hain.

herpal pal pal

jine ki koshish me murta rahta hon,

koi batai keon main chup ho jata hon,

ek hi koshish karte karte thuk sa gaya hon.

khud ko kis dagar le jaon

nafrat ke angan me

peyyar ke boli ka ped lagaoun

phir se keya jine murne ki qasmen khaon

roun aur jhelon,

chup todo aur khud se bolon

ankahi kahani

naam na lon aur sub kah dalo0n

apne munh se

apne kaan me bolon

aur sojaon phir na jagon phir na jagon phir na jagon………….

Read Full Post »

Name plate

Woh haseen tewar
mere aankhon men bas gayen hain
jab Bus se utarte waqt
hamara jism ek lamhe ke liye
uske jism se takraya tha
woh palti
jab uski mukhmoor aankhon men
khoon utar aaya tha
lekin jab uski nazar mere
chehre pe padi
ek lamhe ke liye dono pattharar ho gaye
woh to jism kabhi mera tha
main musalsal take jaa reha tha use
lekin jab ghaur se dekha
woh jaa chuki thi ek bangle men
samne name plate pe likha tha
Mrs Ahmed

Read Full Post »

Naaya saal aaya hai…

Naya saal aaya hai.

kushiyaan roothi roothi hain,

chehray pe khauf,

har aahat pe kuch lagta hai…

TV bandh hai,

dar lagta hai.

Konsi khabar aajaaye

aur hosh-o-hawaas……

ek dam sey aisa gayab ho ki phir saal guzar jaaye. 

dar lagta hai aahat sey

dar lagta hai call bell ki ghanti sey

beeta saal to beet gaya

kaisa bhi tha kya keh sakta hoon, kya likh sakta hoon

kya bol sakta hoon

aankhein hayraan, dil mein phepholley,

zuban kaseeylee, sub kuch kya keh sakta hoon?

meri kahaani teri kahaani,

sab kuch to ek jaisi hai.

ab to din maheeney, haftey, saal sabhi

dhund mein khoye mayoosi ka libadaa odhe

har gali key nukkad sey jhanktey phirtey taaktey phirtey

bas ek sawaal kya yeh saal bhi guzar jaayega? 

hum sab pathar ho jaayenge?

phir kon kissey takraayega?

akal hamri rooth gayee hai

mein sirf dil ki baatein kehta hoon

apney khoon sey likhta hoon

Naya saal aaya hai…Naya saal aaya hai

Jhoot kahoon to mubarak ho sab ko

mein ghalib-o-meer ka bandha 

hirs-o-hawas ki duniya mein bekaar padha hoon.

Ab jaaney do sab log khushiyaan manao

Ki naya saal aaya hai.

Read Full Post »