Feeds:
پوسٹس
تبصرے

kuch nahi to

aaisa jam pila
ke madhosh ho jaon
sirf tu yaad rah
baqi kuch bhi nahi
koi peyaas nahikoiaas nahi
ghum na khushi
bus yaad teri
ankhon me tasveer teri
honton pe naam tera
bus yahi kaam mera
aa woh
jaam pila…..

thakan

kabhi thuk ker
sonchta hon,ruk jaon ab
magar talwon ke
chhale,ijazat nahi de te,kahte hain
tumhe chalte hi rah na hai
kamar ka dard,phir bhi chha chhakia gadi per
chadha hi deti hai
main khamoush khabon me.
chup chap gum sum sa
bus inte zar karta hon,station ka
shayed akhri pel ho akhri khahish
aur station bhi aakhir………….

kuchh

kuchh ke dermian
bahut kuchh, rah jata ha
dard ki zuban nahi hoti
dard kuchh nahi hota
hoton pe ruqs kar ti hoi muskurahat
ankhon me aansoun ki shararat
aabbshaar se toot ker chikhta bikharta pani
maike se jati maaie
aakhri sans
sub kuchh,kuchh bhi nahi

khouf

ek khouf
tamam zindagi
plate form pe
pahuchna train chhoot jana
patrion pe betahsha bhagna
aur gir jana
dard ki tees,thes ka zakhm
khhana badoshon ke kheme
yaqooti hont, ghelafi ankhen
chhoti umer ,ka bada ishq
phir khouf
bel gadi se jahaz tuk ka safar
phir ek khouf ki lambi lakeer
aansuon seter khouf
khuli ankh me ,nind ko dhondti kouf
mil ke ,bichhad jane ka kouf
pel,lamhe,din,mahine,saal der saal
sub kouf………………………….
unse milker ger roliye hote
dagh sine ke dho liye hote
unse koun………………?
kisi se nahi ,apne aap se
apne bister se apni karwaton se
tamam zindagi ki silwaton se
yaarana se yaari se
intezar ki jhulasti do pahar se
ek masoom prinde ki zindagi jine se
bus kouf se khouf….
yerut aai na ye rut jai na
muskurao ,muskura dona ai khouf….

24 jan

shahad me lipti
hoi mohabbat
mere viran hoton,namaloomn mus kurahat
de raha tha
udhar ka .lamha hi sahi
achcha to tha
her waqt rona phir sona
ye kaisi aadat hai.jahan bhi jao ukta jao
aakhir keon
ab tanha udaas raho
kehanian na bao
waqt ja chuka hai
zard aalod patte sokh rahe hain
bhid bhag rahi hai
tum thahar jao,
tum hojum ke hissa nahi ho
bodhe der asal buchche hote hain
khelo na khelono se
aur muskurado
nanhe bachche ki tarah
hujom ek bar to palut kerdekhegi
jai se aaj…………..

Roshni, ae Roshni, ae Roshni

Mein jisko chahta hoon
Mein kisko chahta hoon…….

In do jumloon ke darmiyaan
kitney aaye kitney gayee……
Sab jaantey hain
Hisaab ka mein kaccha hoon…..
Sikkey to gin hi nahi paaya
aur kya….

Yeh aaye gaye, kaun they, Kya they
haan itna zaroor…
Saboon ne yeh ehsaas dilaya
Ki hum hain……
Mein sirf muskuraya
hum to ek hain…..
yeh itney hum
har pal ke khuda jaisa….

Masnoooi chahtaoon ka hajoom
hansoon kehkahey lagaoon…
daman phaad kar jungle ki taraf cheekhta hua bhagoon
Mein jisko chahta hoon ……….
Mein kisko chahta hoon………

Hansee aati hai……

Mujhey Insaan kehtey ho
hansee aati nahi tumko…..
Yehi insaan hota hai
jo sach ko sach nahi kehta…..
Jhoot sey yaraana rakhta hai
mizaaj shahaana rakhta hai…
Us sey keh do
Woh apney andar jaank ley aisey
jaisey kuein mein bachhey jaanktey hain……..
Aur unka chehra
Saaf aur shafaaf aaieney sey zyaada nikhar ke upar aata hai
Ab insaan mein jaanko to saansey ukhadney lagti hai………………..
dil baithney lagta hai
Dhundlaiee aankhon ki binaee kho si jaatee hai
batao……… andhey kuein mein koi dor daalta hai…..
Haan….. Awaragard kooda karkat
us ko bartey jaatey hain……

Phir bhi sharminda nahi ab tak
tumharey ird girdh ya khud tum……
Sab ek jaisey ho
tumhey rona nahi aata
unhey hansna nahi aata…….
bahut dil geer kartey ho
Sirf dil pe teer kartey ho……..
Chalo dhoondey us insaan ko
Jo ab dil bhi teer khaale bhi….
muskuraye bhi…..

Par dhoondogey kahaan usko
Kahin isa ki tarah saleeb pe tanga hai
Kahin mansoor ki tarah namaz-e-ishaq ka wazoo kar raha hai………..
kahin sarmad ki tarah aman aur fasaad pe ek lakeer khenchta hai………..
yeh sab qabeel-e-hussain key hain
kisi ko pehchaanna hai ki woh insaan hai…………..

Dhoondho, Dhoondho, Dhoondho……………………….

Mushkil, Mushkil, Mushkil……………………………………………

Tumhari kahaani

Kalam kagaz pe rakho
aur likho..
Tumhari kahaani tumhi se likhwa raha hoon……

Kareeh manzar, haseen chehray
Laboon pe besakhta muskurahat……
Kya keh raheen hain
Likh rahey ho
Raeeszaddon ki tarah baith kar takhti mat banao
Khushnawees nahi ho jaaogey……………

Ek bar us loh-o-kalam ki taraf dekho
Jis mein itni tawanai hai
jitni…..
duniya mein ruswayee bhi nahi hogi….

Tum apney kaamat ko
Sarroh key barabar samaj rahey ho
beshak dikhai deta hai……
Kabhi dil ka bhi Jaayza lo
Uskey andar ka khalipan….
Kya jeeney ki ramak cheen leta hai
zaheynaseeb tum apnee kahani khud likh rahey ho
Kulbulatey hue keedoon mein…..
Aur tum mein faraq kitna hai
Aaj kuch bhi to nahi
kal ka allah malik…………………..

Tum maachis ki teeliyon ki tarah
bhaagtey dhoudtey garad-o-gubaar phaanktey ho…….
Ek chingari bhi udh kar tum par padhi
Tum phat padogey………………………..

Ek ghosht ka loutthda
Jab jism-o-jaan ikhtyaar karta hai……..
Us mein takabur aur raoonat, ijz aur issaar sey
takraar chaltee hai…………
Hamesha masnand nasheen hi
Zameen pe aa key baith jaata hai…….
Zameen pe jo bhi baitha hai
Woh baitha hai….. who baitha hai……

yeh kaisi pathshaala hai
pandit kuch nahi kehta……….
Yeh maktab kaisa maktab hai
ki mulla ki hai zubaan bandh……
Kabhi hum apney aasteenon mein saanp paaltey they
woh waqt guzra, Woh zamanaa gaya…….

Meray luaab ka ek katraa
Kisi Luaab sey mil jaayee……
Ab muhlik beemari ban jaatee hai
Ab Apni aasteenon ko
apnee Jebo-o-Gareibaan ko taar kar daalo……..

Phir bhi bachna mushkil hai

Kyonki ….

Sach ko samajhna mushkil hai…………

Kyon Hota hai

Aisa kyon hota hai
Kho jaati hai
Apni zindagi….

Sab kashish sifar ho jaati hai
aur…..
ek badsoorat tasveer ban jaati hai zindagi……

TV key tamaam channel
Ek tarah se…
Bolney lagtey hain…….

Har chehra ban jaata hai
Udaasi ki ek tasveer……………..
Raastey dehshatzada…
ho jaate hain.

Rishtoon mein
maaney nahi milta…..
shuk lagta hai
Andheroon aur roshni ke darmiyaan…

Zubaan pe luqnat aa jaate hai.
Koi kya karey…
Koi kya kahey…

Aur kyon?

Sabhi to
shaayad aisey hi jee rahey hain…
Kisi ko maloom hai kisi ko nahi maloom………

ankahi

baithbaithe chup hojata hon,

aisa chup

ke apni sansen bhi rasta bhol si jati hain.

aur dum ghutta hain.

phir ek tasveer ubher aati hai,

kuch nahi kahti

sirf ishara karti hai

meri ankhen khuli rahti hain

aur uk dum sansen okhar jati hain.

herpal pal pal

jine ki koshish me murta rahta hon,

koi batai keon main chup ho jata hon,

ek hi koshish karte karte thuk sa gaya hon.

khud ko kis dagar le jaon

nafrat ke angan me

peyyar ke boli ka ped lagaoun

phir se keya jine murne ki qasmen khaon

roun aur jhelon,

chup todo aur khud se bolon

ankahi kahani

naam na lon aur sub kah dalo0n

apne munh se

apne kaan me bolon

aur sojaon phir na jagon phir na jagon phir na jagon………….