Feeds:
پوسٹس
تبصرے

baad muddat ke

ghum aur khushi
kya
bus yehi do lafz reh gaye hain
main kisi naye lafz ki talash mein hun
shayed miljaye
shayed nahi mile
dhundne se sub kuch milta hai
yeh baat purani hai
main maaus nahi hun
normal bhi nahi hun
kaun normal hai
sub ko kisi na kisi ki talash hai
talash lafz abnormal ka pata deti hai
junun kya hai wahshat kise kehte hain
samajh rahe ho na mere dost
main tumhi se mukhatib hun
baad muddat ke.

Usse Gossip

chita ki lakdi tayyar hai
main khud hi uspe let gaya hoon
mukh agni kaun dega
main shoon mein tak raha hoon
koi aye ya na aye
tu hai na
apne shams ko utar kar
mujhe is se nijat de
kis se is se kis se
main to kabhi nahin samajh paya
main tum se mila tha
nahin to
main to ek khel kar raha tha
khel mein to haar jeet hoti hai
meri qismat meri tanhai, meri sarghoshi
sabhi kuch ne milkar
mujhe ek aisa roop diya
har khel jeetne ki koshish mein
haar haar jata hoon
aqalmand to bahut hoon
gossip karta hoon
ek bekar admi gossip hi to kar sakta hai
waqt guzarne ke liye kisi ko pakarna
phir kisi ko chhodna
meri adat hi nahin
phitrat hai
main tum se tanhai mein kitni baatein karta hoon
tum jawab nahin dete
ghabrao nahin
tum to malik ho
chita ki dhuen jab niklengi
wo bhi ek sawaliya nishaan chhod jaengi
tab jawab de dena!

woh

umeed ki dustak
muskurahton ka hujoom
her pel pel pel.koi zindagi
kisi se milati hai
woh koun hai.koi shakal nahi koi ibarat nahi

jine ki aas hai woh.peyaar ki asas hai woh
cigraatte ka kush.dehyan uska
kaash ye rog lag jai
phir main
elaj karana nahi chahonga
kho jaounga gom ho jaoun ga
aur sirf mus kuraonga……..

lamha

nind toti der lagi
lekin
khawb nahi tota
dekhta raha khuli ankhon se
sub kuch tha bus kami thi to apni
main kub raha hon
mayous nahi hon kush hon
apne na hone se
ab jeonga hemaqat nahi karon ga
ke waqt kum hai…..hisab bahut zeyada
bus ek pel ek lamha hi to hai………………………

?????

Mein chup hoon kyon ki
Anishchit kaal ke liye…..
Achaar sehentaa lagoo hai!!!!!

Apney raasuka mein bandh hoon
fikr ki baat nahi hai…..
Cigarette jalta hai!!!!!!!!!!!!!!

sawal

mre sawalon ka jawab doge
main janta hon
sirf khamosh rah jao ge
keon
ye bhi janta hon
sawal to sawal hai na
bewajah bhi nahi
betuka bhi nahi
bhedh khul jai ga.raaz raaz nahi rahega ga
sawal keya bemana hai
tumhari is bewajh khamoshi se
kitna tot ta hon
tum 1 se 54 tuk yahi kar te rahe
main kodhta raha saawlon ke beech
ab ye zindagi sawal hai
tum sawal ko nazar andaz kar do
jhnjhla kar chup ho jaonga
nahin…………………………………..
sawal sawal ka hai.
sawal……………………………………???

shayed…….

dard hai kamer me
dil me kuch bhi nahi
citi si gounjti hai kan me
cheekh raha hai ander koi
main chai pee raha hon
phir cigratte jal hi jaiga
t.v.pe election ke drame chal rahe hai
ya ipl ki chamak
rickshaw chalane wala mun tazir koi aai
use simt ka pata kahan
jidher ishara ho
main ne sochna bund kar dia hai
sonchta hon socnhne ka zamana gaya
ab keya karon bekar hon main
mujhe to yhi aata tha
na main hushiyar hon na aqal mund
bus ek bekaar
shayed beqrar
shayed to shayed hi hai shayed.

muskurahat

bister per let jana
phir uth behna
aur ek cigrette jlana
khud se
ulajna,phir khamosh hojana
sochna keya sochna
fazool baten
kuch nahi hai
bus dunia hai,muskurahat aahi gai
keya karta
khud se ladte ladrte tahuk gaya hon
ab is umefr samjhouta karon
nahi ab itna pagal to nahi hon
chup ojaon
khamoshi mere ghar ka
rasta deky le
aur cigarett jalta jala jlta rahe……

aakhri makan

janaza uth gaya hai
sugawar kandha badal rahe hain
main maze me hon
makan koun ,nahi chahta
bus pahonch jaon
sabhi ko, jaldi hai,
pahochane me
rote rote behal ,thakan aur
bhook ki shiddat
aakhri muththi khak
mere nai ghar ka tala
sub jao aur rou aur khao
yaad karo
aur ek dosre se kaho
usko makan mil hi gaya
main khush hon,slaam logon…..

meri kahani teri kahani

huns raha hon
ke
ro nahi sakta
ro leta magar ankhen saath nahi de rahi hain
dil sukht hua
jaraha hai
raat ka pichhla pahar aur tanhai
bister inte zar ker raha hai
ek ciggret jal lon
aur nind ko,dhondhne niklon
chalon na ijzat do
nahi to bister routh jaigi
keya karon, nind ka sawal hai?